ye sar-ba-mohr botalen hain jo sharab ki
ye sar-ba-mohr botaleñ haiñ jo sharāb kī
rāteñ haiñ un meñ band hamārī shabāb kī
pūchho na ham se ālam-e-ġhaflat ke ḳhvāb kī
duniyā kuchh aur hī thī hamāre shabāb kī
ye nashsha aañkh dekh ke us mast ḳhvāb kī
jaise abhī chaḌhā.ī ho botal sharāb kī
surḳhī shafaq kī shakl mah-o-āftāb kī
chhalkī huī sharāb hai jām-o-sharāb kī
kyuuñ TūTtī haiñ bijliyoñ par aaj bijliyāñ
shāyad girah khulī tire band-e-naqāb kī
mīnā-o-jām dekh ke ḳhush hogā mohtasib
samjhegā vo khilī huī kaliyāñ gulāb kī
thī sar-ba-mohr phuuT ga.ī apne zor meñ
tauba se pahle TuuTī hai botal sharāb kī
sharmā ga.iiñ jo bosa-e-lab baaġh meñ liyā
simTī haiñ kyā khilī huī kaliyāñ gulāb kī
ham ne tamām umr meñ kitnī sharāb pī
shāyad batā sake hameñ mīzāñ hisāb kī
chehre kā rañg dekh lo tum rakh ke aa.ina
bose se dauḌ jā.egī surḳhī shahāb kī
mahfil meñ pī jo phuul to is ehtiyāt se
mīnā-e-mai ne bū na kabhī dī sharāb kī
ai kasrat-e-gunāh tire Dar se dab ga.ī
dekhā mujhe ki jhuk ga.ī mīzāñ hisāb kī
zarra havā meñ bhar ke banā aadmī kī shakl
qatra havā meñ bhar ke hai sūrat habāb kī
chakkar havā ne itne diye haiñ ki gard-e-bād
tasvīr ban gayā hai mire pech-o-tāb kī
saa.e se us kī zulf ke bint-e-inab ko kyā
ban kar parī uḌegī ye botal sharāb kī
ye kah ke kal dikhā.e unheñ pāra-e-jigar
bikhrī huī ye pañkhuḌiyāñ haiñ gulāb kī
har shaam saath laatī hai ik chaudhvīñ kā chāñd
kyā jāneñ kyā kareñgī ye rāteñ shabāb kī
kam-baḳht ne sharāb kā zikr is qadar kiyā
vaa.iz ke muñh se aane lagī bū sharāb kī
do ghūñT par sharāb ke hai hasr zindagī
rāteñ shabāb kī haiñ na bāteñ shabāb kī
kaam aa.egī 'riyāz' ke mashq-e-tavāf-e-ḳhum
ka.abe ke gird hoñge jo sūjhī savāb kī
ye sar-ba-mohr botalen hain jo sharab ki
raaten hain un mein band hamari shabab ki
puchho na hum se aalam-e-ghaflat ke KHwab ki
duniya kuchh aur hi thi hamare shabab ki
ye nashsha aankh dekh ke us mast KHwab ki
jaise abhi chaDhai ho botal sharab ki
surKHi shafaq ki shakl mah-o-aftab ki
chhalki hui sharab hai jam-o-sharab ki
kyun TuTti hain bijliyon par aaj bijliyan
shayad girah khuli tere band-e-naqab ki
mina-o-jam dekh ke KHush hoga mohtasib
samjhega wo khili hui kaliyan gulab ki
thi sar-ba-mohr phuT gai apne zor mein
tauba se pahle TuTi hai botal sharab ki
sharma gain jo bosa-e-lab bagh mein liya
simTi hain kya khili hui kaliyan gulab ki
hum ne tamam umr mein kitni sharab pi
shayad bata sake hamein mizan hisab ki
chehre ka rang dekh lo tum rakh ke aaina
bose se dauD jaegi surKHi shahab ki
mahfil mein pi jo phul to is ehtiyat se
mina-e-mai ne bu na kabhi di sharab ki
ai kasrat-e-gunah tere Dar se dab gai
dekha mujhe ki jhuk gai mizan hisab ki
zarra hawa mein bhar ke bana aadmi ki shakl
qatra hawa mein bhar ke hai surat habab ki
chakkar hawa ne itne diye hain ki gard-e-baad
taswir ban gaya hai mere pech-o-tab ki
sae se us ki zulf ke bint-e-inab ko kya
ban kar pari uDegi ye botal sharab ki
ye kah ke kal dikhae unhen para-e-jigar
bikhri hui ye pankhuDiyan hain gulab ki
har sham sath lati hai ek chaudhwin ka chand
kya jaanen kya karengi ye raaten shabab ki
kam-baKHt ne sharab ka zikr is qadar kiya
waiz ke munh se aane lagi bu sharab ki
do ghunT par sharab ke hai hasr zindagi
raaten shabab ki hain na baaten shabab ki
kaam aaegi 'riyaz' ke mashq-e-tawaf-e-KHum
kabe ke gird honge jo sujhi sawab ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.