palak palak sail-e-gham ayan hai na koi aahaT na koi halchal
palak palak sail-e-gham ayan hai na koi aahaT na koi halchal
Nusrat Gwaliari
MORE BYNusrat Gwaliari
palak palak sail-e-ġham 'ayāñ hai na koī aahaT na koī halchal
kasak ye kaisī darūn-e-jāñ hai na koī aahaT na koī halchal
hamārī bastī meñ har taraf inqalāb-e-nau kā 'amal thā jaarī
na jaane ye kaun sā jahāñ hai na koī aahaT na koī halchal
lahū uchhalne kā shor jaise fazā meñ gūñjā kabhī nahīñ thā
ye hukm-e-shahr-e-sitamgarāñ hai na koī aahaT na koī halchal
ho sub.h-e-raushan ki shām-e-rañgīñ kisī meñ koī kashish nahīñ hai
har ek ḳhvāhish dhuāñ dhuāñ hai na koī aahaT na koī halchal
na.e zamāne kī maiñ bashārat kā muntazir huuñ magar abhī tak
hayāt aise ravāñ-davāñ hai na koī aahaT na koī halchal
hujūm-e-saut-o-sadā saḌak par julūs ban kar nikal paḌā hai
samā'atoñ kā ye imtihāñ hai na koī aahaT na koī halchal
maiñ apne andar jahāñ chhupā huuñ koī na pahuñchā vahāñ abhī tak
sukūt har samt be-karāñ hai na koī aahaT na koī halchal
fazā kī raunaq zamīñ kī saj dhaj qalam kī jumbish pe munhasir hai
'ajīb pābandī-e-zabāñ hai na koī aahaT na koī halchal
mire tasavvur kī nīlgūñ jhiil meñ ek taarā jahāñ girā thā
vahāñ ḳhamoshī balā-e-jāñ hai na koī aahaT na koī halchal
baḌhūñ to aage dhueñ ke bādal haTūñ to pīchhe balāoñ ke dil
ye kaisā manzar yahāñ vahāñ hai na koī aahaT na koī halchal
sukūt siine meñ aisā kab thā gumāñ bhī guzre na dhaḌkanoñ kā
ḳhudā hī jaane ki dil kahāñ hai na koī aahaT na koī halchal
palak palak sail-e-gham 'ayan hai na koi aahaT na koi halchal
kasak ye kaisi darun-e-jaan hai na koi aahaT na koi halchal
hamari basti mein har taraf inqalab-e-nau ka 'amal tha jari
na jaane ye kaun sa jahan hai na koi aahaT na koi halchal
lahu uchhalne ka shor jaise faza mein gunja kabhi nahin tha
ye hukm-e-shahr-e-sitamgaran hai na koi aahaT na koi halchal
ho subh-e-raushan ki sham-e-rangin kisi mein koi kashish nahin hai
har ek KHwahish dhuan dhuan hai na koi aahaT na koi halchal
nae zamane ki main bashaarat ka muntazir hun magar abhi tak
hayat aise rawan-dawan hai na koi aahaT na koi halchal
hujum-e-saut-o-sada saDak par julus ban kar nikal paDa hai
sama'aton ka ye imtihan hai na koi aahaT na koi halchal
main apne andar jahan chhupa hun koi na pahuncha wahan abhi tak
sukut har samt be-karan hai na koi aahaT na koi halchal
faza ki raunaq zamin ki saj dhaj qalam ki jumbish pe munhasir hai
'ajib pabandi-e-zaban hai na koi aahaT na koi halchal
mere tasawwur ki nilgun jhil mein ek tara jahan gira tha
wahan KHamoshi bala-e-jaan hai na koi aahaT na koi halchal
baDhun to aage dhuen ke baadal haTun to pichhe balaon ke dil
ye kaisa manzar yahan wahan hai na koi aahaT na koi halchal
sukut sine mein aisa kab tha guman bhi guzre na dhaDkanon ka
KHuda hi jaane ki dil kahan hai na koi aahaT na koi halchal
- Book : Sab Khwab (Pg. 100)
- Author : Nusrat Gwaliory
- Publication : Nusrat Gwaliory, Tahzeeb Urdu 5071, Kucha Rahman Pandit, Chandni Chouck, Delhi (1998)
- Edition : 1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.