mai-o-saqi hain sab yakja ahahaha ahahaha
mai-o-sāqī haiñ sab yakjā ahāhāhā ahāhāhā
ajab aalam hai mastī kā ahāhāhā ahāhāhā
bahār aa.ī tuḌāne phir lage zanjīr dīvāne
huā shor-e-junūñ barpā ahāhāhā ahāhāhā
jin āñkhoñ ne na dekhā thā kabhī yak ashk kā qatra
chale haiñ us se ab dariyā ahāhāhā ahāhāhā
mire ghar is havā meñ sāqī-o-mutrib agar hote
to kaise mai-kashī kartā ahāhāhā ahāhāhā
kiyā 'bedār' se āshiq ko tū ne qatl ai zālim
koī kartā hai kaam aisā ahāhāhā ahāhāhā
mai-o-saqi hain sab yakja ahahaha ahahaha
ajab aalam hai masti ka ahahaha ahahaha
bahaar aai tuDane phir lage zanjir diwane
hua shor-e-junun barpa ahahaha ahahaha
jin aankhon ne na dekha tha kabhi yak ashk ka qatra
chale hain us se ab dariya ahahaha ahahaha
mere ghar is hawa mein saqi-o-mutrib agar hote
to kaise mai-kashi karta ahahaha ahahaha
kiya 'bedar' se aashiq ko tu ne qatl ai zalim
koi karta hai kaam aisa ahahaha ahahaha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.