lapke junun-shiar yake-baad-digre
lapke junūñ-shi.ār yake-ba.ad-dīgre
paayā farāz-e-dār yake-ba.ad-dīgre
lab-basta bastiyoñ kā phir anjām ye huā
sab kā luTā qarār yake-ba.ad-dīgre
ye kyā ki ahl-e-dil hī ke hisse meñ aa.e haiñ
ilzām be-shumār yake-ba.ad-dīgre
dil kā kamāl hai mutazalzal nahīñ huā
kitne hue haiñ vaar yake-ba.ad-dīgre
in mas.aloñ ne Dhañg se jiine kahāñ diyā
sar par rahe savār yake-ba.ad-dīgre
miTte dikhā.ī dete haiñ afsos ai 'na.īm'
achchhe sabhī shi.ār yake-ba.ad-dīgre
lapke junun-shiar yake-baad-digre
paya faraaz-e-dar yake-baad-digre
lab-basta bastiyon ka phir anjam ye hua
sab ka luTa qarar yake-baad-digre
ye kya ki ahl-e-dil hi ke hisse mein aae hain
ilzam be-shumar yake-baad-digre
dil ka kamal hai mutazalzal nahin hua
kitne hue hain war yake-baad-digre
in masalon ne Dhang se jine kahan diya
sar par rahe sawar yake-baad-digre
miTte dikhai dete hain afsos ai 'naim'
achchhe sabhi shiar yake-baad-digre
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.