kis tarah banaen hum apna ye makan yaro ret is nagar ki hai inT is nagar ki hai
kis tarah banaen hum apna ye makan yaro ret is nagar ki hai inT is nagar ki hai
Nabeel Ahmad Nabeel
MORE BYNabeel Ahmad Nabeel
kis tarah banā.eñ ham apnā ye makāñ yaaro ret is nagar kī hai iiñT is nagar kī hai
joḌte unheñ kaise aur phir kahāñ yaaro ret is nagar kī hai iiñT is nagar kī hai
ek hasrat-e-tāmīr dil meñ jo zarā sī thī Dar thā jaag uTThegī aur jaag uTThī hai
kaan khol kar sun lo tum mirā bayāñ yaaro ret is nagar kī hai iiñT is nagar kī hai
ye to jānte sab haiñ ham bhī sochte ab haiñ jis nagar meñ rahte the us nagar meñ rahte haiñ
ek hai zamīñ apnī ek āsmāñ yaaro ret is nagar kī hai iiñT is nagar kī hai
ghar nahīñ agar apnā ghar meñ jā to sakte haiñ dar nahīñ agar apnā dar to khol sakte haiñ
aa ke kah gayā ham ko kaun darmiyāñ yaaro ret is nagar kī hai iiñT is nagar kī hai
is muqaddame par bhī ik muqaddama hogā zor-o-shor se hogā aur aaj hī hogā
khol kar agar dekheñ un kī ham dukāñ yaaro ret is nagar kī hai iiñT is nagar kī hai
kyā sabaq paḌhāte haiñ shahr ko diyānat kā aa gayā hai jab is par faisla adālat kā
aap kyuuñ pakaḌte haiñ un kī choriyāñ yaaro ret is nagar kī hai iiñT is nagar kī hai
roz maiñ bikhartā huuñ roz hī bikhartā hai mere ghar kā shīrāza tum karo jo andāza
kyā sunā gayā koī ghar kī dāstāñ yaaro ret us nagar kī hai iiñT is nagar kī hai
ghurkhiyoñ ke gaañv se ret uThā ke laa.e the iiñT shahr se lī thī ye na thā magar mā'lūm
jhelnā paḌeñgī phir ghar kī ghurkiyāñ yaaro ret is nagar kī hai iiñT is nagar kī hai
iiñT le gayā koī ret le gayā koī mujh ko zindagī-bhar kā rog de gayā koī
roz kahtā phirtā huuñ maiñ yahāñ vahāñ yaaro ret is nagar kī hai iiñT is nagar kī hai
iiñT ret se ham ne ik makāñ banāyā thā ham ne haañ banāyā thā par kahāñ banāyā thā
go ki jānte haiñ ham zer-e-āsmāñ yaaro ret is nagar kī hai iiñT is nagar kī hai
nūn-mīm-'rāshid' se ham 'nabīl' pūchheñge zindagī to tum bhī ho zindagī to ham bhī haiñ
kis tarah banā.eñ ham nazm kā jahāñ yaaro ret is nagar kī hai iiñT is nagar kī hai
kis tarah banaen hum apna ye makan yaro ret is nagar ki hai inT is nagar ki hai
joDte unhen kaise aur phir kahan yaro ret is nagar ki hai inT is nagar ki hai
ek hasrat-e-tamir dil mein jo zara si thi Dar tha jag uTThegi aur jag uTThi hai
kan khol kar sun lo tum mera bayan yaro ret is nagar ki hai inT is nagar ki hai
ye to jaante sab hain hum bhi sochte ab hain jis nagar mein rahte the us nagar mein rahte hain
ek hai zamin apni ek aasman yaro ret is nagar ki hai inT is nagar ki hai
ghar nahin agar apna ghar mein ja to sakte hain dar nahin agar apna dar to khol sakte hain
aa ke kah gaya hum ko kaun darmiyan yaro ret is nagar ki hai inT is nagar ki hai
is muqaddame par bhi ek muqaddama hoga zor-o-shor se hoga aur aaj hi hoga
khol kar agar dekhen un ki hum dukan yaro ret is nagar ki hai inT is nagar ki hai
kya sabaq paDhate hain shahr ko diyanat ka aa gaya hai jab is par faisla adalat ka
aap kyun pakaDte hain un ki choriyan yaro ret is nagar ki hai inT is nagar ki hai
roz main bikharta hun roz hi bikharta hai mere ghar ka shiraaza tum karo jo andaza
kya suna gaya koi ghar ki dastan yaro ret us nagar ki hai inT is nagar ki hai
ghurkhiyon ke ganw se ret uTha ke lae the inT shahr se li thi ye na tha magar ma'lum
jhelna paDengi phir ghar ki ghurkiyan yaro ret is nagar ki hai inT is nagar ki hai
inT le gaya koi ret le gaya koi mujh ko zindagi-bhar ka rog de gaya koi
roz kahta phirta hun main yahan wahan yaro ret is nagar ki hai inT is nagar ki hai
inT ret se hum ne ek makan banaya tha hum ne han banaya tha par kahan banaya tha
go ki jaante hain hum zer-e-asman yaro ret is nagar ki hai inT is nagar ki hai
nun-mim-'rashid' se hum 'nabil' puchhenge zindagi to tum bhi ho zindagi to hum bhi hain
kis tarah banaen hum nazm ka jahan yaro ret is nagar ki hai inT is nagar ki hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.