dukhata hai mera dil be alif re
dukhātā hai mirā dil be alif re
huā huuñ rañj se maiñ ze alif re
uḌā.īñ dhajjiyāñ bhī tū ne lekin
chhuTā dāman na tujh se ḳhe alif re
garebāñ-gīr hai ye jo vahshat
na rakkhā naam ko bhī te alif re
ḳhushī se kaaT le qātil mirā sar
huā hai ab to mujh ko be alif re
nigāhoñ ko kahūñ kyūñ-kar na barchhī
ki siine se huī haiñ pe alif re
ilāhī ze alif re to huā huuñ
pa chashm-e-ġhair meñ huuñ ḳhe alif re
liyā hai dil tumhārā us ne 'anjum'
kare āñkheñ vo kyūñkar che alif re
tasavvur gul-ruḳhoñ kā 'āsmāñ' kyuuñ
gale kā ho gayā hai he alif re
dukhata hai mera dil be alif re
hua hun ranj se main ze alif re
uDain dhajjiyan bhi tu ne lekin
chhuTa daman na tujh se KHe alif re
gareban-gir hai ye jo wahshat
na rakkha nam ko bhi te alif re
KHushi se kaT le qatil mera sar
hua hai ab to mujh ko be alif re
nigahon ko kahun kyun-kar na barchhi
ki sine se hui hain pe alif re
ilahi ze alif re to hua hun
pa chashm-e-ghair mein hun KHe alif re
liya hai dil tumhaara us ne 'anjum'
kare aankhen wo kyunkar che alif re
tasawwur gul-ruKHon ka 'asman' kyun
gale ka ho gaya hai he alif re
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.