tark un se rasm-o-rah-e-mulaqat ho gai
tark un se rasm-o-rāh-e-mulāqāt ho ga.ī
yuuñ mil ga.e kahīñ to koī baat ho ga.ī
dil thā udaas ālam-e-ġhurbat kī shaam thī
kyā vaqt thā ki tum se mulāqāt ho ga.ī
ye dasht-e-haul-ḳhez ye manzil kī dhun ye shauq
ye bhī ḳhabar nahīñ ki kahāñ raat ho ga.ī
rasm-e-jahāñ na chhūT sakī tark-e-ishq se
jab mil ga.e to pursish-e-hālāt ho ga.ī
ḳhū bū rahī sahī thī jo mujh meñ ḳhulūs kī
ab vo bhī nazr-e-rasm-e-ināyāt ho ga.ī
dilchasp hai 'salīm' hikāyat tirī magar
ab so bhī jā ki yaar bahut raat ho ga.ī
tark un se rasm-o-rah-e-mulaqat ho gai
yun mil gae kahin to koi baat ho gai
dil tha udas aalam-e-ghurbat ki sham thi
kya waqt tha ki tum se mulaqat ho gai
ye dasht-e-haul-KHez ye manzil ki dhun ye shauq
ye bhi KHabar nahin ki kahan raat ho gai
rasm-e-jahan na chhuT saki tark-e-ishq se
jab mil gae to pursish-e-haalat ho gai
KHu bu rahi sahi thi jo mujh mein KHulus ki
ab wo bhi nazr-e-rasm-e-inayat ho gai
dilchasp hai 'salim' hikayat teri magar
ab so bhi ja ki yar bahut raat ho gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.