raat paDe ghar jaana hai
raat paá¸e ghar jaanÄ hai
sub.h talak mar jaanÄ hai
jaag ke pachhtÄnÄ hai bahut
sote meÃą Dar jaanÄ hai
jaane se pahle ham ne
shor bahut kar jaanÄ hai
saare á¸ŗhÅĢn-á¸ŗharÄbe ko
ÄÃąkhoÃą meÃą bhar jaanÄ hai
andhoÃą ne bulvÄyÄ hai
bhes badal kar jaanÄ hai
chhe nazmeÃą jurmÄna thÄ
ek ÄĄhazal harjÄna hai
laá¸kÄĢ achchhÄĢ hai 'alvÄĢ'
naam us kÄ marjÄna hai
raat paDe ghar jaana hai
subh talak mar jaana hai
jag ke pachhtana hai bahut
sote mein Dar jaana hai
jaane se pahle hum ne
shor bahut kar jaana hai
sare KHun-KHarabe ko
aankhon mein bhar jaana hai
andhon ne bulwaya hai
bhes badal kar jaana hai
chhe nazmen jurmana tha
ek ghazal harjaana hai
laDki achchhi hai 'alwi'
nam us ka marjaana hai
- Book : Lifaafe Mein Raushni (Pg. 69)
- Author : Mohammad Alvi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.