Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

muntazir dasht-e-dil-o-jaan hai ki aahu aae

Shahzad Ahmad

muntazir dasht-e-dil-o-jaan hai ki aahu aae

Shahzad Ahmad

MORE BYShahzad Ahmad

    muntazir dasht-e-dil-o-jāñ hai ki aahū aa.e

    saare manzar badal jaa.eñ agar aa.e

    niiñd aa.e to achānak tirī aahaT sun luuñ

    jaag uTThūñ to badan se tirī ḳhushbū aa.e

    be-hunar haath chamakne lagā sūraj tarah

    aaj ham kis se mile aaj kise chhū aa.e

    saut saut hai tasvīr tasvīr hai

    yaad terī ka.ī bāteñ ka.ī pahlū aa.e

    ham tujhe dekhte naqsh-ba-dīvār hue

    ab vahī tujh se milegā jise jaadū aa.e

    apne aks ko paanī meñ kahāñ tak dekhūñ

    hijr shaam hai koī to lab-e-jū aa.e

    kisī jānib nazar aatā nahīñ bādal koī

    aur jab sail-e-balā aa.e to har-sū aa.e

    chāhtā huuñ ki ho parvāz sitāroñ se buland

    aur mire hisse meñ TuuTe hue baazū aa.e

    dard meñ Duubī huī raakh meñ nahlā.ī huī

    raat yuuñ aa.ī hai jaise koī sādhū aa.e

    rāsta rok sakī haiñ na fasīleñ na hisār

    phuul jañgal meñ khile shahr meñ ḳhushbū aa.e

    āsmānoñ pe na taare haiñ na bādal hai na chāñd

    ab to mumkin hai kahīñ se koī jugnū aa.e

    vaqt-e-ruḳhsat mire hamrāh koī kab aayā

    aur agar lauT ke aa.e bhī to aañsū aa.e

    rog bhī ne lagāyā hai anokhā 'shahzād'

    ab kahāñ se tire is dard daarū aa.e

    muntazir dasht-e-dil-o-jaan hai ki aahu aae

    sare manzar hi badal jaen agar tu aae

    nind aae to achanak teri aahaT sun lun

    jag uTThun to badan se teri KHushbu aae

    be-hunar hath chamakne laga suraj ki tarah

    aaj hum kis se mile aaj kise chhu aae

    saut hi saut hai taswir hi taswir hai tu

    yaad teri kai baaten kai pahlu aae

    hum tujhe dekhte hi naqsh-ba-diwar hue

    ab wahi tujh se milega jise jadu aae

    apne hi aks ko pani mein kahan tak dekhun

    hijr ki sham hai koi to lab-e-ju aae

    kisi jaanib nazar aata nahin baadal koi

    aur jab sail-e-bala aae to har-su aae

    chahta hun ki ho parwaz sitaron se buland

    aur mere hisse mein TuTe hue bazu aae

    dard mein Dubi hui rakh mein nahlai hui

    raat yun aai hai jaise koi sadhu aae

    rasta rok saki hain na fasilen na hisar

    phul jangal mein khile shahr mein KHushbu aae

    aasmanon pe na tare hain na baadal hai na chand

    ab to mumkin hai kahin se koi jugnu aae

    waqt-e-ruKHsat mere hamrah koi kab aaya

    aur agar lauT ke aae bhi to aansu aae

    rog bhi tu ne lagaya hai anokha 'shahzad'

    ab kahan se tere is dard ka daru aae

    Source :
    • Book : Deewar pe dastak (Pg. 974)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now