Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mohabbat mein koi sadma uThana chahiye tha

Bushra Ejaz

mohabbat mein koi sadma uThana chahiye tha

Bushra Ejaz

MORE BYBushra Ejaz

    mohabbat meñ koī sadma uThānā chāhiye thā

    bhulāyā thā jise vo yaad aanā chāhiye thā

    girī thiiñ ghar dīvāreñ to sehn-e-dil meñ ham ko

    gharauñde koī naqsha banānā chāhiye thā

    uThānā chāhiye thī raakh shahr-e-ārzū

    phir is ke ba.ad ik tūfān uThānā chāhiye thā

    koī to baat karnā chāhiye thī ḳhud se āḳhir

    kahīñ to mujh ko bhī ye dil lagānā chāhiye thā

    kabhī to ehtimām-e-ārzū bhī thā zarūrī

    koī to ziist karne bahānā chāhiye thā

    mirī apnī aur us aarzū meñ farq ye thā

    mujhe bas vo use saarā zamāna chāhiye thā

    mohabbat mein koi sadma uThana chahiye tha

    bhulaya tha jise wo yaad aana chahiye tha

    giri thin ghar ki diwaren to sehn-e-dil mein hum ko

    gharaunde ka koi naqsha banana chahiye tha

    uThana chahiye thi rakh shahr-e-arzu ki

    phir is ke baad ek tufan uThana chahiye tha

    koi to baat karna chahiye thi KHud se aaKHir

    kahin to mujh ko bhi ye dil lagana chahiye tha

    kabhi to ehtimam-e-arzu bhi tha zaruri

    koi to zist karne ka bahana chahiye tha

    meri apni aur us ki aarzu mein farq ye tha

    mujhe bas wo use sara zamana chahiye tha

    RECITATIONS

    Azra Naqvi

    Azra Naqvi,

    Azra Naqvi

    mohabbat mein ye sadma utahana chahye tha Azra Naqvi

    Source :
    • Book : Beesveen Sadi Ki Behtareen Ishqiya Ghazlen (Pg. 61)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now