makan milte hain kya la-makan nahin milta
makān milte haiñ kyā lā-makāñ nahīñ miltā
nishān laakh haiñ lekin nishāñ nahīñ miltā
kahīñ bhī jaa.eñ kahāñ āsmāñ nahīñ miltā
lahad hī ek jagah hai jahāñ nahīñ miltā
huī hai raushan usī se hamārī peshānī
jabīn-e-arsh ko jo āstāñ nahīñ miltā
sunī hai maiñ ne bhī rañgīñ-navā.ī-e-nāqūs
gale se mere ye vaqt-e-azāñ nahīñ miltā
ye chāhtā huuñ ki be-muñh ke ābloñ se nibhe
kahīñ bhī ḳhaar koī be-zabāñ nahīñ miltā
bahār aate hī phūloñ ne chhāvnī chhā.ī
ki DhūñDhtā huuñ mujhe āshiyāñ nahīñ miltā
ye kah rahā hai tarannum havā kī maujoñ kā
ḳhamosh phūloñ kā husn-e-bayāñ nahīñ miltā
ye shab guzār-e-haram hai zarūr ai saaqī
kisī se raat ko pīr-e-muġhāñ nahīñ miltā
chale na kaam bhare ḳhum agar na saath chaleñ
haram kī raah meñ kosoñ kuaañ nahīñ miltā
shafaq khulī na sar-e-qabr pā-e-rañgīñ se
zamīñ se jhuk ke kabhī āsmāñ nahīñ miltā
ḳhudā ke vāste pahuñchā de koī manzil tak
bichhaḌ gayā huuñ mujhe kārvāñ nahīñ miltā
zabān-e-hāl meñ in kī ajab latāfat hai
kisī se phūloñ kā husn-e-bayāñ nahīñ miltā
chale na haath gale par to ḳhud hī chal jaa.e
unheñ gilā hai ki ḳhanjar ravāñ nahīñ miltā
'riyāz' chhāñT liyā us ne mujh se būḌhe ko
koī bhī duḳhtar-e-raz ko javāñ nahīñ miltā
makan milte hain kya la-makan nahin milta
nishan lakh hain lekin nishan nahin milta
kahin bhi jaen kahan aasman nahin milta
lahad hi ek jagah hai jahan nahin milta
hui hai raushan usi se hamari peshani
jabin-e-arsh ko jo aastan nahin milta
suni hai main ne bhi rangin-nawai-e-naqus
gale se mere ye waqt-e-azan nahin milta
ye chahta hun ki be-munh ke aablon se nibhe
kahin bhi KHar koi be-zaban nahin milta
bahaar aate hi phulon ne chhawni chhai
ki DhunDhta hun mujhe aashiyan nahin milta
ye kah raha hai tarannum hawa ki maujon ka
KHamosh phulon ka husn-e-bayan nahin milta
ye shab guzar-e-haram hai zarur ai saqi
kisi se raat ko pir-e-mughan nahin milta
chale na kaam bhare KHum agar na sath chalen
haram ki rah mein koson kuan nahin milta
shafaq khuli na sar-e-qabr pa-e-rangin se
zamin se jhuk ke kabhi aasman nahin milta
KHuda ke waste pahuncha de koi manzil tak
bichhaD gaya hun mujhe karwan nahin milta
zaban-e-haal mein in ki ajab latafat hai
kisi se phulon ka husn-e-bayan nahin milta
chale na hath gale par to KHud hi chal jae
unhen gila hai ki KHanjar rawan nahin milta
'riyaz' chhanT liya us ne mujh se buDhe ko
koi bhi duKHtar-e-raz ko jawan nahin milta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.