Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

makan dekhe makin dekhe la-makan dekha

Riyaz Khairabadi

makan dekhe makin dekhe la-makan dekha

Riyaz Khairabadi

MORE BYRiyaz Khairabadi

    makān dekhe makīñ dekhe lā-makāñ dekhā

    kahāñ kahāñ tujhe DhūñDā kahāñ kahāñ dekhā

    zarā jo ham ne unheñ aaj mehrbāñ dekhā

    na ham se pūchhiye kyā rañg-e-āsmāñ dekhā

    na pahuñche bām-e-qafas tak kabhī mire naale

    vo barq hogī jise gard-e-āshiyāñ dekhā

    jhukā jhukā hai to haañ gir paḌe mire sar par

    yahī na yaas se thā sū-e-asmāñ dekhā

    bahut se riñd bhī dekhe bahut se zāhid bhī

    unheñ to piir hamesha inheñ javāñ dekhā

    ab ārzūeñ bar aa.iiñ ki ḳhaak meñ mil jaa.eñ

    ḳhudā ne din ye dikhāyā unheñ javāñ dekhā

    ye jānte haiñ ki dil ḳhaak ho gayā jal kar

    na aag dekhī na uThte hue dhuāñ dekhā

    bahut ro.e gale mil ke ek ek se ham

    luTā huā jo koī ham ne kārvāñ dekhā

    qafas meñ roke sitam tere dekh leñ sayyād

    chaman meñ rah ke bahut lutf-e-bāġhbāñ dekhā

    'riyāz' ḳhāk-e-dar-e-mai-kada thā jīte-jī

    fanā ke ba.ad use ḳhuld-āshiyāñ dekhā

    makan dekhe makin dekhe la-makan dekha

    kahan kahan tujhe DhunDa kahan kahan dekha

    zara jo hum ne unhen aaj mehrban dekha

    na hum se puchhiye kya rang-e-asman dekha

    na pahunche baam-e-qafas tak kabhi mere nale

    wo barq hogi jise gard-e-ashiyan dekha

    jhuka jhuka hai to han gir paDe mere sar par

    yahi na yas se tha su-e-asman dekha

    bahut se rind bhi dekhe bahut se zahid bhi

    unhen to pir hamesha inhen jawan dekha

    ab aarzuen bar aain ki KHak mein mil jaen

    KHuda ne din ye dikhaya unhen jawan dekha

    ye jaante hain ki dil KHak ho gaya jal kar

    na aag dekhi na uThte hue dhuan dekha

    bahut hi roe gale mil ke ek ek se hum

    luTa hua jo koi hum ne karwan dekha

    qafas mein roke sitam tere dekh len sayyaad

    chaman mein rah ke bahut lutf-e-baghban dekha

    'riyaz' KHak-e-dar-e-mai-kada tha jite-ji

    fana ke baad use KHuld-ashiyan dekha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now