KHak chhani na kisi dasht mein wahshat ki hai
ḳhaak chhānī na kisī dasht meñ vahshat kī hai
maiñ ne ik shaḳhs se ujrat pe mohabbat kī hai
ḳhud ko dhutkār diyā maiñ ne to is duniyā ne
merī auqāt se baḌh kar mirī izzat kī hai
jī meñ aatā hai mirī mujh se mulāqāt na ho
baat milne kī nahīñ baat tabī.at kī hai
ab bhī thoḌī sī mire dil meñ paḌī hai shāyad
zard sī dhuup jo dīvār se ruḳhsat kī hai
aaj jī bhar ke tujhe dekhā to mahsūs huā
aañkh ne sūra-e-yūsuf kī tilāvat kī hai
haal pūchhā hai mirā poñchhe haiñ aañsū mere
shukriya tum ne mire dard meñ shirkat kī hai
KHak chhani na kisi dasht mein wahshat ki hai
main ne ek shaKHs se ujrat pe mohabbat ki hai
KHud ko dhutkar diya main ne to is duniya ne
meri auqat se baDh kar meri izzat ki hai
ji mein aata hai meri mujh se mulaqat na ho
baat milne ki nahin baat tabiat ki hai
ab bhi thoDi si mere dil mein paDi hai shayad
zard si dhup jo diwar se ruKHsat ki hai
aaj ji bhar ke tujhe dekha to mahsus hua
aankh ne sura-e-yusuf ki tilawat ki hai
haal puchha hai mera ponchhe hain aansu mere
shukriya tum ne mere dard mein shirkat ki hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.