kaghaz tha main diye pe mujhe rakh diya gaya
kāġhaz thā maiñ diye pe mujhe rakh diyā gayā
ik aur martabe pe mujhe rakh diyā gayā
ik be-badan kā 'aks banāyā gayā huuñ maiñ
be-āb aa.ine pe mujhe rakh diyā gayā
kuchh to khiñchī khiñchī sī thī sā'at visāl kī
kuchh yuuñ bhī fāsle pe mujhe rakh diyā gayā
muñh-māñge daam de ke ḳharīdā aur us ke baa'd
ik ḳhaas zāviye pe mujhe rakh diyā gayā
kal raat mujh ko chorī kiyā jā rahā thā yaar
aur mere jāgne pe mujhe rakh diyā gayā
achchhā bhalā paḌā thā maiñ apne vajūd meñ
duniyā ke rāste pe mujhe rakh diyā gayā
pahle to merī miTTī se mujh ko kiyā charāġh
phir mere maqbare pe mujhe rakh diyā gayā
'anjum' havā ke zor pe jaanā hai us taraf
paanī ke bulbule pe mujhe rakh diyā gayā
kaghaz tha main diye pe mujhe rakh diya gaya
ek aur martabe pe mujhe rakh diya gaya
ek be-badan ka 'aks banaya gaya hun main
be-ab aaine pe mujhe rakh diya gaya
kuchh to khinchi khinchi si thi sa'at visal ki
kuchh yun bhi fasle pe mujhe rakh diya gaya
munh-mange dam de ke KHarida aur us ke ba'd
ek KHas zawiye pe mujhe rakh diya gaya
kal raat mujh ko chori kiya ja raha tha yar
aur mere jagne pe mujhe rakh diya gaya
achchha bhala paDa tha main apne wajud mein
duniya ke raste pe mujhe rakh diya gaya
pahle to meri miTTi se mujh ko kiya charagh
phir mere maqbare pe mujhe rakh diya gaya
'anjum' hawa ke zor pe jaana hai us taraf
pani ke bulbule pe mujhe rakh diya gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.