jab maine kaha ai but-e-KHud-kaam ware aa
jab maine kaha ai but-e-KHud-kaam ware aa
Jurat Qalandar Bakhsh
MORE BYJurat Qalandar Bakhsh
jab maiñ ne kahā ai but-e-ḳhud-kām vare aa
tab kahne lagā ''chal be o bad-nām pare jaa''
hai sub.h se āshiq kā tire haal nipaT tañg
ma.alūm ye hotā hai ki tā-shām maregā
nāseh mire rone kā na maan.e ho ki āshiq
gar ye na kare kaam to phir kaam kare kyā
aatā hai gar is abr meñ ai sāqī-e-gulfām
to bāda-e-gul-rañg se tū jaam bhare lā
yaañ ziist kā ḳhatra nahīñ haañ khīñchiye talvār
vo ġhair thā jo dekh ke samsām Dare thā
maiñ ne jo kahā ek to bosa tū mujhe de
bolā vo ''zabāñ apnī ko tū thaam are hā!''
gar dīda-o-dil farsh karūñ raah meñ 'jur.at'
mumkin hī nahīñ jo vo dil-ārām dhare pā
jab main ne kaha ai but-e-KHud-kaam ware aa
tab kahne laga chal be o bad-nam pare ja
hai subh se aashiq ka tere haal nipaT tang
malum ye hota hai ki ta-sham marega
naseh mere rone ka na mane ho ki aashiq
gar ye na kare kaam to phir kaam kare kya
aata hai gar is abr mein ai saqi-e-gulfam
to baada-e-gul-rang se tu jam bhare la
yan zist ka KHatra nahin han khinchiye talwar
wo ghair tha jo dekh ke samsam Dare tha
main ne jo kaha ek to bosa tu mujhe de
bola wo zaban apni ko tu tham are ha!
gar dida-o-dil farsh karun rah mein 'jurat'
mumkin hi nahin jo wo dil-aram dhare pa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.