is aankh mein KHwab-e-naz ho ja
is aañkh meñ ḳhvāb-e-nāz ho jā
ai hijr kī shab darāz ho jā
asrār tamām khul rahe haiñ
tū apne liye bhī raaz ho jā
ai naġhma-navāz āḳhir-e-shab
āhañg-e-shikast-e-sāz ho jā
dīvār kī tarah band kyuuñ hai
dastak koī de to baaz ho jā
ab din to ġhurūb ho rahā hai
saa.e kī tarah darāz ho jā
yaañ fat.h sabab hai sar-kashī kā
tū haar ke sarfarāz ho jā
tū shīsha bane ki sañg kuchh ban
andar se magar gudāz ho jā
us aañkh se siikh rāz-e-ismat
khul khel ke pāk-bāz ho jā
is aankh mein KHwab-e-naz ho ja
ai hijr ki shab daraaz ho ja
asrar tamam khul rahe hain
tu apne liye bhi raaz ho ja
ai naghma-nawaz aaKHir-e-shab
aahang-e-shikast-e-saz ho ja
diwar ki tarah band kyun hai
dastak koi de to baz ho ja
ab din to ghurub ho raha hai
sae ki tarah daraaz ho ja
yan fath sabab hai sar-kashi ka
tu haar ke sarfaraaz ho ja
tu shisha bane ki sang kuchh ban
andar se magar gudaz ho ja
us aankh se sikh raaz-e-ismat
khul khel ke pak-baz ho ja
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.