gumbad-e-madfan hai ya hai aasman baala-e-sar
gumbad-e-madfan hai yā hai āsmāñ bālā-e-sar
ye makīñ rakhte haiñ sab apne makāñ bālā-e-sar
yuuñ liye hoñ hashr meñ bār-e-garāñ bālā-e-sar
dosh par ḳhum hai gunah kī gaThriyāñ bālā-e-sar
chhoTī sī kashtī banā hai āsmāñ bālā-e-sar
sail-e-ashk is tarah chashm-e-ḳhūñ-fishāñ bālā-e-sar
zer-e-masjid mai-kada maiñ mai-kade meñ mast-e-ḳhvāb
chauñk uTThā jab dī mo.azzin ne azaañ bālā-e-sar
ham haiñ so.e sāya-e-gul meñ nahīñ itnā ḳhayāl
ai 'anādil is tarah shor-e-fuġhāñ bālā-e-sar
naḳhl-e-gul kī tarah dīvānoñ se bhī mānūs haiñ
lete haiñ bulbul jagah ai bāġhbāñ bālā-e-sar
ye nirālī terī ḳhilqat sham' us par husn bhī
ham ne dekhī ek terī hī zabāñ bālā-e-sar
ḳhush kiyā yuuñ baaġh meñ lā kar mujhe sayyād ne
shāḳh ke nīche qafas hai āshiyāñ bālā-e-sar
bechte phirte haiñ mai ham is tarah raste galī
jā-e-ḳhum chhoTī sī hai mai kī dukāñ bālā-e-sar
rahm kar mālik ki maiñ do do farishte bhī lade
aur phir 'isyāñ kā bhī bār-e-garāñ bālā-e-sar
pīchhe pīchhe kārvāñ ke ham thake-māñde haiñ yuuñ
paañv meñ chhāle haiñ gard-e-kārvāñ bālā-e-sar
paañv ke nīche se niklī jaatī hai yārab zamīñ
khā rahe haiñ chakkar itne āsmāñ bālā-e-sar
maiñ vo huuñ mahshar ke pyāsoñ ko pilā.ūñ to sahī
hauz-e-kausar hogā ai pīr-e-muġhāñ bālā-e-sar
ātish-e-rañg-e-hinā-o-zulf-e-pechāñ dekhiye
aag talvoñ meñ lagī niklā dhuāñ bālā-e-sar
lene jaatā hai haram se kyā kahīñ tum ko 'riyāz'
taaq par rakkhī hai botal mehrbāñ bālā-e-sar
gumbad-e-madfan hai ya hai aasman baala-e-sar
ye makin rakhte hain sab apne makan baala-e-sar
yun liye hon hashr mein bar-e-garan baala-e-sar
dosh par KHum hai gunah ki gaThriyan baala-e-sar
chhoTi si kashti bana hai aasman baala-e-sar
sail-e-ashk is tarah chashm-e-KHun-fishan baala-e-sar
zer-e-masjid mai-kada main mai-kade mein mast-e-KHwab
chaunk uTTha jab di moazzin ne azan baala-e-sar
hum hain soe saya-e-gul mein nahin itna KHayal
ai 'anadil is tarah shor-e-fughan baala-e-sar
naKHl-e-gul ki tarah diwanon se bhi manus hain
lete hain bulbul jagah ai baghban baala-e-sar
ye nirali teri KHilqat sham' us par husn bhi
hum ne dekhi ek teri hi zaban baala-e-sar
KHush kiya yun bagh mein la kar mujhe sayyaad ne
shaKH ke niche qafas hai aashiyan baala-e-sar
bechte phirte hain mai hum is tarah raste gali
ja-e-KHum chhoTi si hai mai ki dukan baala-e-sar
rahm kar malik ki main do do farishte bhi lade
aur phir 'isyan ka bhi bar-e-garan baala-e-sar
pichhe pichhe karwan ke hum thake-mande hain yun
panw mein chhaale hain gard-e-karwan baala-e-sar
panw ke niche se nikli jati hai yarab zamin
kha rahe hain chakkar itne aasman baala-e-sar
main wo hun mahshar ke pyason ko pilaun to sahi
hauz-e-kausar hoga ai pir-e-mughan baala-e-sar
aatish-e-rang-e-hina-o-zulf-e-pechan dekhiye
aag talwon mein lagi nikla dhuan baala-e-sar
lene jata hai haram se kya kahin tum ko 'riyaz'
taq par rakkhi hai botal mehrban baala-e-sar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.