dahan hai tang shakar aur shakar tera hai kalam
dahan hai tang shakar aur shakar tera hai kalam
Shaikh Zahuruddin Hatim
MORE BYShaikh Zahuruddin Hatim
dahan hai tañg shakar aur shakar tirā hai kalām
labāñ haiñ pista zanaḳh seb o chashm haiñ bādām
tirī nigah se ga.e khul kivāḌ chhātī ke
hisār-e-qalb kī goyā thī fat.h tere naam
diloñ kī raah meñ ḳhatre paḌe haiñ kyā yaaro
ki chand roz se mauqūf hai payām o salām
umīd-vār janāb-e-ḳhudā se hai 'hātim'
ki hove kaam kā us ke shitāb se anjām
dahan hai tang shakar aur shakar tera hai kalam
laban hain pista zanaKH seb o chashm hain baadam
teri nigah se gae khul kiwaD chhati ke
hisar-e-qalb ki goya thi fath tere nam
dilon ki rah mein KHatre paDe hain kya yaro
ki chand roz se mauquf hai payam o salam
umid-war janab-e-KHuda se hai 'hatim'
ki howe kaam ka us ke shitab se anjam
- Book : Diwan Zadah (Pg. 224)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.