bin tere kya kahen kya rog hamein yar laga
bin tere kya kahen kya rog hamein yar laga
Jurat Qalandar Bakhsh
MORE BYJurat Qalandar Bakhsh
bin tire kyā kaheñ kyā rog hameñ yaar lagā
Dar lage naam liye jis kā vo āzār lagā
sab ye kahte haiñ mujhe tujh se jo dil yaar lagā
haa.e kyā is ko javānī meñ ye āzār lagā
ham divānoñ kā ye hai dasht-e-junūñ meñ rutba
ki qadam rakhte hī aa paañv se har ḳhaar lagā
kahiye kyūñkar na use bādshah-e-kishvar-e-husn
ki jahāñ jā ke vo baiThā vahīñ darbār lagā
qadr phir apnī ho kyā us ke ḳharīdāroñ meñ
roz-o-shab jis kī galī meñ rahe bāzār lagā
kaun sā din vo kaTā mujh pe ki ai teġh-e-firāq
zaḳhm ik taaza mire dil pe na har baar lagā
dil meñ ab us ke jo lahr aa.ī hai ghar jaane kī
tū bhī rone kī jhaḌī dīda-e-ḳhūñ-bār lagā
muttasil tū jo mirā ḳhūn-e-jigar piitā hai
kyuuñ ġham-e-ishq ye kyā tujh ko mazedār lagā
tez-dastī-e-junūñ aaj hai aisī hī ki bas
na rahā apne garebāñ meñ koī taar lagā
is zamīñ meñ ġhazal ik aur bhī paḌh ai 'jur.at'
ḳhuub andāz ke ab kahne tū ash.ār lagā
bin tere kya kahen kya rog hamein yar laga
Dar lage nam liye jis ka wo aazar laga
sab ye kahte hain mujhe tujh se jo dil yar laga
hae kya is ko jawani mein ye aazar laga
hum diwanon ka ye hai dasht-e-junun mein rutba
ki qadam rakhte hi aa panw se har KHar laga
kahiye kyunkar na use baadshah-e-kishwar-e-husn
ki jahan ja ke wo baiTha wahin darbar laga
qadr phir apni ho kya us ke KHaridaron mein
roz-o-shab jis ki gali mein rahe bazar laga
kaun sa din wo kaTa mujh pe ki ai tegh-e-firaq
zaKHm ek taza mere dil pe na har bar laga
dil mein ab us ke jo lahr aai hai ghar jaane ki
tu bhi rone ki jhaDi dida-e-KHun-bar laga
muttasil tu jo mera KHun-e-jigar pita hai
kyun gham-e-ishq ye kya tujh ko mazedar laga
tez-dasti-e-junun aaj hai aisi hi ki bas
na raha apne gareban mein koi tar laga
is zamin mein ghazal ek aur bhi paDh ai 'jurat'
KHub andaz ke ab kahne tu ashaar laga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.