agar un ke lab par gila hai kisi ka
agar un ke lab par gilā hai kisī kā
to bejā bhī shikva bajā hai kisī kā
hasīñ hashr meñ sar jhukā.e hue haiñ
vafā aaj va.ada huā hai kisī kā
vo joban bahut sar uThā.e hue haiñ
bahut tañg band-e-qabā hai kisī kā
vo ḳhud chāhte haiñ koī ab satā.e
satānā mazā de gayā hai kisī kā
jo haiñ dast-e-gustāḳh apne salāmat
to jhūTā hī va.ada vafā hai kisī kā
vo kyuuñ uTh ke ḳhalvat se mahfil meñ aa.eñ
vo kyā jāneñ kyā mudda.ā hai kisī kā
banā luuñ ḳhudā to bhī mere na hoñge
butoñ meñ koī bhī huā hai kisī kā
koī god meñ jham se aa hī gayā hai
tasavvur hameñ jab bañdhā hai kisī kā
'riyāz' aur hī rañg meñ mast haiñ ab
sunā hai pyālā piyā hai kisī kā
agar un ke lab par gila hai kisi ka
to beja bhi shikwa baja hai kisi ka
hasin hashr mein sar jhukae hue hain
wafa aaj wada hua hai kisi ka
wo joban bahut sar uThae hue hain
bahut tang band-e-qaba hai kisi ka
wo KHud chahte hain koi ab satae
satana maza de gaya hai kisi ka
jo hain dast-e-gustaKH apne salamat
to jhuTa hi wada wafa hai kisi ka
wo kyun uTh ke KHalwat se mahfil mein aaen
wo kya jaanen kya muddaa hai kisi ka
bana lun KHuda to bhi mere na honge
buton mein koi bhi hua hai kisi ka
koi god mein jham se aa hi gaya hai
tasawwur hamein jab bandha hai kisi ka
'riyaz' aur hi rang mein mast hain ab
suna hai pyala piya hai kisi ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.