titliyan jugnu sabhi honge magar dekhega kaun
titliyāñ jugnū sabhī hoñge magar dekhegā kaun
ham sajā bhī leñ agar dīvār-o-dar dekhegā kaun
ab to ham haiñ jāgne vaale tirī ḳhātir yahāñ
ham na hoñge to tire shaam o sahar dekhegā kaun
jis kī ḳhātir ham-suḳhan sachchā.ī ke raste chale
jab vahī us ko na dekhe to hunar dekhegā kaun
sab ne apnī apnī āñkhoñ par naqābeñ Daal liiñ
jo likhā hai shahr kī dīvār par dekhegā kaun
be-sitāra zindagī ke ghar meñ ab bhī raat ko
ik kiran tere ḳhayāloñ kī magar dekhegā kaun
titliyan jugnu sabhi honge magar dekhega kaun
hum saja bhi len agar diwar-o-dar dekhega kaun
ab to hum hain jagne wale teri KHatir yahan
hum na honge to tere sham o sahar dekhega kaun
jis ki KHatir ham-suKHan sachchai ke raste chale
jab wahi us ko na dekhe to hunar dekhega kaun
sab ne apni apni aankhon par naqaben Dal lin
jo likha hai shahr ki diwar par dekhega kaun
be-sitara zindagi ke ghar mein ab bhi raat ko
ek kiran tere KHayalon ki magar dekhega kaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.