shahr-e-sadmat se aage nahin jaane wala
shahr-e-sadmāt se aage nahīñ jaane vaalā
maiñ tirī zaat se aage nahīñ jaane vaalā
tū bhī auqāt meñ rah mujh se jhagaḌne vaale
maiñ bhī auqāt se aage nahīñ jaane vaalā
aise lagtā hai mirī jaan ta.alluq apnā
is mulāqāt se aage nahīñ jaane vaalā
aaj kī raat hai bas nuur kī kirnoñ kā jalāl
diip is raat se aage nahīñ jaane vaalā
mere kashkol meñ Daal aur zarā ijz ki maiñ
itnī ḳhairāt se aage nahīñ jaane vaalā
shahr-e-sadmat se aage nahin jaane wala
main teri zat se aage nahin jaane wala
tu bhi auqat mein rah mujh se jhagaDne wale
main bhi auqat se aage nahin jaane wala
aise lagta hai meri jaan talluq apna
is mulaqat se aage nahin jaane wala
aaj ki raat hai bas nur ki kirnon ka jalal
dip is raat se aage nahin jaane wala
mere kashkol mein Dal aur zara ijz ki main
itni KHairaat se aage nahin jaane wala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.