Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sarab-e-jism ko sahra-e-jaan mein rakh dena

Faza Ibn e Faizi

sarab-e-jism ko sahra-e-jaan mein rakh dena

Faza Ibn e Faizi

MORE BYFaza Ibn e Faizi

    sarāb-e-jism ko sahrā-e-jāñ meñ rakh denā

    zarā dhuup bhī is sā.ebāñ meñ rakh denā

    tujhe havas ho jo mujh ko hadaf banāne

    mujhe bhī tiir sūrat kamāñ meñ rakh denā

    shikast khaa.e hue hausloñ lashkar huuñ

    uThā ke mujh ko saf-e-dushmanāñ meñ rakh denā

    jadīd nasloñ ḳhātir ye varsa kaafī hai

    mire yaqīñ ko hisār-e-gumāñ meñ rakh denā

    ye mauj tā-ki safīne ko garm-rau rakkhe

    kuchh aag ḳhema-e-āb-e-ravāñ meñ rakh denā

    bahut tavīl hai kaale samundaroñ safar

    mujhe havā jagah bādbāñ meñ rakh denā

    maiñ apne zimme kisī hisāb kyuuñ rakkhūñ

    jo nafā hai use jaib-e-ziyāñ meñ rakh denā

    sarab-e-jism ko sahra-e-jaan mein rakh dena

    zara si dhup bhi is saeban mein rakh dena

    tujhe hawas ho jo mujh ko hadaf banane ki

    mujhe bhi tir ki surat kaman mein rakh dena

    shikast khae hue hauslon ka lashkar hun

    uTha ke mujh ko saf-e-dushmanan mein rakh dena

    jadid naslon ki KHatir ye warsa kafi hai

    mere yaqin ko hisar-e-guman mein rakh dena

    ye mauj ta-ki safine ko garm-rau rakkhe

    kuchh aag KHema-e-ab-e-rawan mein rakh dena

    bahut tawil hai kale samundaron ka safar

    mujhe hawa ki jagah baadban mein rakh dena

    main apne zimme kisi ka hisab kyun rakkhun

    jo nafa hai use jaib-e-ziyan mein rakh dena

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    sarab-e-jism ko sahra-e-jaan mein rakh dena Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now