ham-nafaso ujaD gain mehr-o-wafa ki bastiyan
ham-nafaso ujaḌ ga.iiñ mehr-o-vafā kī bastiyāñ
pūchh rahe haiñ ahl-e-mehr-o-vafā ko kyā huā
ishq hai be-guzār kyuuñ husn hai be-niyāz kyuuñ
merī vafā kahāñ ga.ī un kī jafā ko kyā huā
ye to bajā ki ab vo kaif jām-e-sharāb meñ nahīñ
sāqī-e-mai ke ġhamza-e-hosh-rubā ko kyā huā
ab nahīñ jannat mashām-e-kūcha-e-yār kī shamīm
nik.hat-e-zulf kyā huī bād-e-sabā ko kyā huā
tham gayā daura-e-hayāt ruk ga.ī nabz-e-kā.enāt
ishq-o-junūñ kī garmī-e-hamhama-zā ko kyā huā
dasht-e-junūñ meñ ho ga.ī manzil-e-yār be-surāġh
qāfila kis taraf gayā bāñg-e-darā ko kyā huā
nāla-e-shab hai nā-rasā āh-e-sahar hai be-asar
merā ḳhudā kahāñ gayā mere ḳhudā ko kyā huā
ham-nafaso ujaD gain mehr-o-wafa ki bastiyan
puchh rahe hain ahl-e-mehr-o-wafa ko kya hua
ishq hai be-guzar kyun husn hai be-niyaz kyun
meri wafa kahan gai un ki jafa ko kya hua
ye to baja ki ab wo kaif jam-e-sharab mein nahin
saqi-e-mai ke ghamza-e-hosh-ruba ko kya hua
ab nahin jannat masham-e-kucha-e-yar ki shamim
nikhat-e-zulf kya hui baad-e-saba ko kya hua
tham gaya daura-e-hayat ruk gai nabz-e-kaenat
ishq-o-junun ki garmi-e-hamhama-za ko kya hua
dasht-e-junun mein ho gai manzil-e-yar be-suragh
qafila kis taraf gaya bang-e-dara ko kya hua
nala-e-shab hai na-rasa aah-e-sahar hai be-asar
mera KHuda kahan gaya mere KHuda ko kya hua
- Book : Nuquush Lahore (Pg. 196)
- Author : Mohd Tufail
- Publication : Idara Farog-e-urdu, Lahore (Feb.1956 )
- Edition : Feb.1956
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.