haalat kya ye tere bichhaDne se ho gae
hālāt kyā ye tere bichhaḌne se ho ga.e
lagtā hai jaise ham kisī mele meñ kho ga.e
āñkheñ baras ga.iiñ to sukūñ dil ko mil gayā
bādal to sirf sūkhī zamīneñ bhigo ga.e
kitnī kahāniyoñ se milā zindagī ko husn
kitne fasāne vaqt kī chādar meñ so ga.e
āñkhoñ se niiñd rūThī to nuqsān ye huā
mere hazāroñ ḳhvāb mire dil meñ so ga.e
'mansūr' muddatoñ se mujhe un kī hai talāsh
nafrat ke biij mere chaman meñ jo bo ga.e
haalat kya ye tere bichhaDne se ho gae
lagta hai jaise hum kisi mele mein kho gae
aankhen baras gain to sukun dil ko mil gaya
baadal to sirf sukhi zaminen bhigo gae
kitni kahaniyon se mila zindagi ko husn
kitne fasane waqt ki chadar mein so gae
aankhon se nind ruThi to nuqsan ye hua
mere hazaron KHwab mere dil mein so gae
'mansur' muddaton se mujhe un ki hai talash
nafrat ke bij mere chaman mein jo bo gae
- Book : Kashmakash (Pg. 40)
- Author : Mansoor Usmani
- Publication : Najma House, Baradari, Moradabad (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.