falak ke rang zamin par utarta hua main
falak ke rañg zamīñ par utārtā huā maiñ
tamām ḳhalq ko hairat se mārtā huā maiñ
do chaar saañs meñ jiitā huuñ ek arse tak
zarā se vaqt meñ sadiyāñ guzārtā huā maiñ
jo mere sāmne hai aur dil-o-dimāġh meñ bhī
chahār-samt usī ko pukārtā huā maiñ
mire nuqūsh pe kārī-garī rukī huī hai
shikasta chaak se ḳhud ko utārtā huā maiñ
tumhārī jiit meñ pinhāñ hai merī jiit kahīñ
tumhāre sāmne har baar hārtā huā maiñ
falak ke rang zamin par utarta hua main
tamam KHalq ko hairat se marta hua main
do chaar sans mein jita hun ek arse tak
zara se waqt mein sadiyan guzarta hua main
jo mere samne hai aur dil-o-dimagh mein bhi
chahaar-samt usi ko pukarta hua main
mere nuqush pe kari-gari ruki hui hai
shikasta chaak se KHud ko utarta hua main
tumhaari jit mein pinhan hai meri jit kahin
tumhaare samne har bar haarta hua main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.