bhaTka karunga kab tak rahon mein teri aa kar
bhaTkā karūñgā kab tak rāhoñ meñ terī aa kar
tujh ko bhulā sukūñ maiñ mere liye duā kar
kab tak ye terī hasrat kab tak ye merī vahshat
in saarī bandishoñ se mujh ko kabhī rihā kar
ek umr se tujhe maiñ be-uzr pī rahā huuñ
tū bhī to pyaas merī ai jaam pī liyā kar
kal raat zindagī ye mujh se taḌap ke bolī
kuchh der ko to ho kar merā bhī tū rahā kar
rishte ka.ī sunahre is zindagī se paa.e
rakkhā magar na ham ne un ko kabhī bachā kar
dil ke khañDar se panchhī yādoñ ke jā na paa.e
dekhā hai ham ne un ko kitnī hī baar uḌā kar
vo qurb ho ki duurī sab ḳhvāhisheñ adhūrī
'ālok' aa ga.e haiñ dariyā meñ ham bahā kar
bhaTka karunga kab tak rahon mein teri aa kar
tujh ko bhula sukun main mere liye dua kar
kab tak ye teri hasrat kab tak ye meri wahshat
in sari bandishon se mujh ko kabhi riha kar
ek umr se tujhe main be-uzr pi raha hun
tu bhi to pyas meri ai jam pi liya kar
kal raat zindagi ye mujh se taDap ke boli
kuchh der ko to ho kar mera bhi tu raha kar
rishte kai sunahre is zindagi se pae
rakkha magar na hum ne un ko kabhi bacha kar
dil ke khanDar se panchhi yaadon ke ja na pae
dekha hai hum ne un ko kitni hi bar uDa kar
wo qurb ho ki duri sab KHwahishen adhuri
'alok' aa gae hain dariya mein hum baha kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.